Sunday, April 5, 2009

Ye Duniya agar mil bhi jaye to kya hai..

A beautiful lyrics by Sahir Ludhyanvi..

Ye mahalon, ye takthon, ye taajon ki duniyaa
Ye inasaan ke dushman samaajon ki duniyaa
Ye daulat ke bhuukhe rivaazon ki duniyaa
Ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

Har ek jism ghaayal, har ek ruh pyaasi
Nigaahon mein uljhan, dilon mein udaasi
Yeh duniyaa hai yaa aalam-e-badhavaasi
yeh duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

Jahaan ek khilonaa hai inasaan ki hasti
Ye basti hai murdaa-paraston ki basti
Jahaan aur jivan se hai maut sasti
yeh duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

Javaani bhatakti hai bezaar bankar
Javaan jism sajate hai baazaar bankar
Jahaan pyaar hotaa hai vyaapaar bankar
ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

Yeh duniyaa jahaan aadami kuchh nahin hai
Vafaa kuchh nahin, dosti kuchh nahin hai
Jahaan pyaar ki kadr hi kuchh nahin hai
ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

Jalaa do, jalaa do ise phoonk daalo ye duniyaa
Mere saamne se hataa lo ye duniyaa
Tumhaari hai tumhi sambhalo ye duniya,

ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai

ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai




No comments:

Post a Comment