Sunday, April 5, 2009

Ye na thee hamaree qismat

This beautiful gazal is written by Mirza Galib ji.....

Ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
[wisaal - meeting]

Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
ke khushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota

Teree naazukee se jaana ke bandha tha ‘ehed_booda
kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota

[bandha - promise , ehed_booda - delicate , ostuwaar - determined]

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota

[teer-e-neemkash - half down arrow, khalish - pain]

ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota

[naseeh - advisor, chaarasaaz - problem solver, painkiller , ghangusaar - one who sympathize]

rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

[sharaar - spark]

gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota

[jaan_gulis - threatening , gham-e-ishq - torment of love, gham-e-rozgaar - torment of life]

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota

[gharq-e-dariya - just drowned]

usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota

[yagnaa - oneness , yakta - without peer]

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ‘Ghalib’!
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota

[ masaail-e-tasawwuf -mysticism,baada_khwaar - inebriated]

No comments:

Post a Comment